khalwaton se nibah kar aaya zindagi ko tabah kar aaya raushni ke the sab murid so main tirgi se nikah kar aaya be-sabab sar dhara gaya ilzam is liye main gunah kar aaya us ki or dekha tak nahin main ne koh ka fakhr kah kar aaya zikr kar yaron mein mohabbat ka jang ki iftitah kar aaya dekh kar mujh ko tanz kas rahe the hans ke main wah-wah kar aaya