khamosh hain lab aur aankhon se aansu hain ki paiham bahte hain hum samne un ke baithe hain aur qissa-e-furqat kahte hain ab husn-o-ishq mein farq nahin ab donon ki ek haalat hai main un ko dekhta rahta hun wo mujh ko dekhte rahte hain un ki wo haya wo khamoshi apni wo mohabbat ki nazren wo sunne ko sab kuchh sunte hain hum kahne ko sab kuchh kahte hain is shauq-e-farawan ki yarab aakhir koi had bhi hai ki nahin inkar karen wo ya wada hum rasta dekhte rahte hain hamdard nahin hamraaz nahin kis se kahiye kyun kar kahiye jo dil pe guzarti rahti hai jo jaan pe sadme sahte hain aa dekh ki zalim furqat mein kya haal mera behaal hua aahon se sharare jhadte hain aankhon se dariya bahte hain 'akbar' shayad dil kho baithe wo jalse wo ahbab nahin tanha khamosh se phirte hain har waqt udas se rahte hain