KHamosh ho gai thi zaban dekhte rahe

khamosh ho gai thi zaban dekhte rahe
har samt aag aur dhuan dekhte rahe

dekha jidhar jidhar mujhe manzar wahi mila
gardan ko zer-e-nok-e-sinan dekhte rahe

dhote rahe hain lasha-e-fasl-e-bahaar ko
gulshan mein daur-e-baad-e-khizan dekhte rahe

qiston mein todti rahi dam lashkari zaban
ahl-e-qalam sab ahl-e-zaban dekhte rahe

mahfuz kab rahe wo zamane ki chaal se
har mod par jo sud-o-ziyan dekhte rahe

pahunche 'wali' ke shahr mein ek roz hum 'majid'
barpa tha hashr aah-o-fughan dekhte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close