khamosh kali sare gulistan ki zaban hai ye tarz-e-sukhan aabru-e-khush-sukhnan hai jo baat ki khud mere takallum pe garan hai wo teri samaat ke to qabil hi kahan hai har zarra pe hai manzil-e-mahbub ka dhoka pahunche koi is bazm tak un ka hi kahan hai insan ne asrar-e-jahan fash kiye hain soya hua khurshid hai zarra nigaran hai 'fitrat' dil-e-kaunain ki dhadkan to zara sun ye hazrat-e-insan hi ki azmat ka bayan hai