khamosh nazron se husn-e-butan ki baat karen na lab pe aai jo us dastan ki baat karen rah-e-junun mein bhatakte kahan kahan pahunche kahan kahan ki sunaen kahan ki baat karen jigar ke dagh dikhane se faeda kya hai abas hai mahz ke zor-e-zaman ki baat karen na bhul jae zamana wafa ki qadron ko mite jo ishq mein un ke nishan ki baat karen jabin-e-shauq ka sajda yahan wahan kyon ho jahan ho azmat-e-sar hum wahan ki baat karen qadam qadam pe guzarte hain imtihan kitne chalo ki aaj nae imtihan ki baat karen ye yaad-e-lutf-e-bahaaran bhi kam nahin hai 'habib' bhari khizan mein bhi kya hum khizan ki baat karen