KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein

khamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein
main kaise na rukta chalne laga jab surkh ishaara aankhon mein

manzar mein kinaron se bahar dariya-e-mohabbat bahta hai
aur pas-manzar mein nile se aanchal ka kinara aankhon mein

har sal bahaar se pahle main pani par phul banata hun
phir chaaron mausam likh jate hain nam tumhaara aankhon mein

ab kahne wale kahte hain is shahr mein raat nahin hoti
ek aisa hi din tha wo chehra jab main ne utara aankhon mein

socha hai tumhaari aankhon se ab main un ko milwa hi dun
kuchh khwab jo dhundte phirte hain jine ka sahaara aankhon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close