khamoshiyon mein sawal kya hai koi na samjha hamein hai kya gham malal kya hai koi na samjha sabhi ne ek ek rang apna bana liya hai magar ye rangon ka jal kya hai koi na samjha jawab dene ki itni jaldi padi thi sab ko sawal ye hai sawal kya hai koi na samjha pata tha sab ko siyasi mohre bichhe hue hain magar siyasat ki chaal kya hai koi na samjha kiya tha chehra shanas hone ka sab ne dawa magar mere dil ka haal kya hai koi na samjha