khana-e-dil ka jo tawaif hai qasd-e-bait-ul-haram se khaif hai aaina husn ke sahife ka lauh-parwaz hai sahaif hai gul-rukhon mein latifa-go hain hazar par wo guldasta-e-zaraif hai zikr tera ba-rabb-e-kaba sanam hum ko aurad hai wazaif hai kya kahun main zarafaten us ki be-sukhan madin-e-zaraif hai nashsha-e-hosh se ye kaifiyyat aalam-e-kaif pur-kawaif hai ai 'muhib' kijiye dil us ki nazar yahi tohfa yahi tahaif hai