khana-e-ummid be-nur-o-ziya hone ko hai chashm-e-tar se aakhiri aansu juda hone ko hai ye bhi ai dil ek fareb-e-wada-e-farda na ho roz sunta hun koi mahshar bapa hone ko hai dur hun lekin bata sakta hun un ki bazm mein kya hua kya ho raha hai aur kya hone ko hai khul rahi hai aankh ek kafir hasin ki subh-dam mai-kasho muzhda dar-e-mai-khana wa hone ko hai tark-e-ulfat ko zamana ho gaya lekin 'shakil' aaj phir mera aur un ka samna hone ko hai