khandani qaul ka to pas rakh ram hai to samne ban-bas rakh aas ke gauhar bhi kuchh mil jaenge yas ke kuchh pattharon ko pas rakh tu imarat ke mahal ka khwab chhod khwab mein bas jhonpadi ka bas rakh mahz teri zat tak mahdud kyun mausamon ke kaif ka bhi pas rakh dahr mein mazi bhi tha tera na bhul aane wale kal mein bhi wishwas rakh tujh ko apne gham ka to ehsas ho apne pahlu mein dil-e-hassas rakh daulat-e-iflas tujh ko mil gai daulat-e-kaunain ki ab aas rakh mubtadi ko lauh se hai wasta tu to hai ahl-e-qalam qirtas rakh bostan sab ko lage tera wajud apne tan mein is liye bu-bas rakh ye zaman hai tez-rau ghoda nahin hath mein apne na us ki ras rakh sahib-e-maqdur hai mana 'figar' ye tujhe kis ne kaha tha das rakh