khandaq-e-dahr mein utar to sakun jo na ab tak hua wo kar to sakun gard-alud aamad-o-shud hai chahaton mein guzar basar to sakun chal rahi hai hawa-e-tund-o-tez talkhiyon ko zara shakar to sakun sari ki sari neamaten hain udhar kuchh udhar ko zara idhar to sakun dhup barsa rahi hai angare shahr-e-be-saya ko shajar to sakun teri duniya mein sarhaden hain bahut chahun jis samt se guzar to sakun