khandar jo ho gaya aisa makan kis ka tha hawa jo sah na saka saeban kis ka tha zamin kis ki thi aur aasman kis ka tha khayal kis ka tha dil mein guman kis ka tha thake hue the musafir kinare lag jate wo kashti dub gai baadban kis ka tha ghurur tha jinhen apni zamin-dari ka zamin-doz hua khandan kis ka tha