kharab-e-shauq hua jab se is nigah ka dil charagh-e-mai-kada hai gah khanqah ka dil na-jaane khak-nashin kis ke intizar mein hain kanar-e-rah dhadakta hai kab se rah ka dil nawazish-e-gham-e-dauran sabhi pe yaksan hai gunahgar ka dil ho ki be-gunah ka dil bahaar se bhi numayan hai ishq ka kirdar ye lahlahata chaman hai ki be-gunah ka dil falah-e-khalq mein uthte hain na-gahan tufan dhadak raha hai hawaon mein sham-e-rah ka dil duaen karte chalo ta-ba-manzil-e-maqsud ki rahzanon se na mil jae khizr-e-rah ka dil tumhaari rah mein aasar-e-zindagi to mile hai zarra zarra kisi aashiq-e-tabah ka dil suna hai shair-e-khush-fikr ho gaya 'mani' niyaz-mand hai ek husn-e-khush-nigah ka dil