kharab-haalon mein gham-khwar baaten karte hain kya waqt hai ki mere yar baaten karte hain mere khilaf jo kahna hai mere munh pe kahen ye log kyon pas-e-diwar baaten karte hain zaban se baat nikalne ki der hoti hai rawayye chikhte kirdar baaten karte hain ye log jo bhi kahen un ki an-suni karna hamare bare mein be-kar baaten karte hain tamam apnon ka rakhta hun man main lekin mujhe ye tokte har bar baaten karte hain main chikhta hun meri baat kyon nahin sunte mujhe tumhaare taraf-dar baaten karte hain udas lafz waraq par bikher deta hun to chupke chupke sab ashaar baaten karte hain wo chehra dekh ke dukh-dard bhul jata hun wo aankhen bolti rukhsar baaten karte hain jahan hamare siwa aur koi nahin hota hum un se soch ke is par baaten karte hain main chahta hun wo har lamha mujh se baaten karen magar wo 'shokh-ji' do-chaar baaten karte hain