khata-war-e-murawwat ho na marhun-e-karam ho ja masarrat sar jhukaegi parastar-e-alam ho ja inhi be-rabt khwabon se koi tabir niklegi inhi uljhi hui rahon pe mera ham-qadam ho ja kisi zardar se jins-e-tabassum mangne wale kisi bekas ke lashe par sharik-e-chashm-e-nam ho ja kisi din in andheron mein charaghan ho hi jaega jala kar dagh-e-dil koi ziya-e-sham-e-gham ho ja tujhe suljhaega ab inqilab-e-waqt ka shana taqaza-e-junun hai gesu-e-dauran ka kham ho ja tajassus markaz-e-taqdir ka qail nahin hota shuur-e-bandagi! begana-e-dair-o-haram ho ja ye manzil aur gard-e-karwan 'saghar' kahan apne simat kar rahguzar-e-waqt par naqsh-e-qadam ho ja