khaTakte hain nigah-e-baghban mein

khatakte hain nigah-e-baghban mein
jo hain do-chaar tinke aashiyan mein

har ek sakhti mein aalam naza ka tha
hamari umr guzri imtihan mein

chhuda le sajda karne mein na koi
lage hain lal sang-e-astan mein

sharare hain mere nalon ke qaem
ki tare jad diye hain aasman mein

qarib ab fasl-e-gul shayad hai sayyaad
maza aane laga meri fughan mein

taras aata nahin mujh par kisi ko
main fariyaad-e-jaras hun karwan mein

asar mai ka hai ya tauba ka naseh
ki talkhi si hai kuchh ab tak zaban mein

tadapne walon mein bhi tafarqe hai
qafas mein hum hain bijli aashiyan mein

kisi se chhut kar aalam hai kuchh aur
pada hai tafarqe sa jism-o-jaan mein

'riyaz' ustad ne rutba ye bakhsha
hamari dhum hai hindostan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close