khatm kiya saba ne raqs gul pe nisar ho chuki josh-e-nashat ho chuka saut-e-hazar ho chuki rang-e-banafsha mit gaya sumbul-e-tar nahin raha sehn-e-chaman mein zinat-e-naqsh-o-nigar ho chuki masti-e-lala ab kahan us ka pyala ab kahan daur-e-tarab guzar gaya aamad-e-yar ho chuki rut wo jo thi badal gai aai bas aur nikal gai thi jo hawa mein nikhat-e-mushk-e-tatar ho chuki ab tak usi rawish pe hai 'akbar'-e-mast-o-be-khabar kah de koi aziz-e-man fasl-e-bahaar ho chuki