khatm un ke kabhi sitam na hue sar hamare agarche kham na hue tum koi sham aisi batlao jab hue tum udas hum na hue apna khaliq to hai sanam apna hum kisi ke magar sanam na hue kis ko aankhen mila ke dekhen jab teri nazron mein mohtaram na hue aur jine ka kya hunar rakhte kam se kam hath to qalam na hue kya hua lafz lafz jine se ek ibarat mein jab raqam na hue lutf 'bebak' us safar mein kahan jis ki rahon mein zer-o-bam na hue