khauf sa phir labon pe tari hai ek ajab kaifiyat hamari hai aao badlen nizam-e-gulshan hum kuchh hamari bhi zimmedari hai raushni haq ke ek jugnu ki sainkadon zulmaton pe bhaari hai aap ka to koi jawab nahin aaiye ab hamari bari hai jashn-e-tadfin-e-arzu-e-visal aur sanson ka raqs jari hai wasl ka ek qimti lamha hijr ki muddaton pe bhaari hai wahshat-e-ishq mein suno hum ne din sameta hai shab utari hai qahqahon ka nagar tumhein saunpa dard par saltanat hamari hai ghalatiyan aap se nahin hotin kya farishton se rishta-dari hai aap suniye 'shahab' ko bhi kabhi goya ilham-e-rabt jari hai