khauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga tez hain kitni hawaen is ka andaza laga khushk tha mausam magar barsi ghata jab yaad ki dil ka murjhaya hua ghuncha tar-o-taza laga raushni si kar gai qurbat kisi ke jism ki ruh mein khulta hua mashriq ka darwaza laga ye andheri raat benam-o-nishan kar jaegi apne chehre par sunahri dhup ka ghaza laga zehn par jis dam tera ehsas ghaalib aa gaya dur tak bikhra hua lafzon ka shiraaza laga ham-khayal o ham-nawa bhi tujh ko mil hi jaenge raat ke tanha musafir koi aawaza laga