KHayal-e-yar mein is tarah gum hua hun main

khayal-e-yar mein is tarah gum hua hun main
ki intizar ki taswir ban gaya hun main

utha to dard ki manind un ki mahfil se
gira to ashk ki surat bikhar gaya hun main

mujhe ye aain dam-e-naza hichkiyan kaisi
zarur aaj unhen yaad aa gaya hun main

saja ke aankh mein aansu jala ke ishq mein dil
jahan-e-ishq ki raunaq badha raha hun main

hamein to soz-e-judai ne khak kar dala
wo kah rahe hain abhi aazma raha hun main

sukun kaisa kahan ki tasalliyan 'shabbir'
khud apne dard ki lazzat mein kho gaya hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close