khayal-e-yar se daman chhuda ke aai hun main apne kandhe pe aansu baha ke aai hun bahut sa bojh tha dil par so dasht-e-ulfat mein tumhaare pyar ka qarza chuka ke aai hun charagh-e-shab tha mujhe dekh kar tumhaara wajud tumhaari aankhon ke dipak bujha ke aai hun purane ped mere sath sath rote rahe jo nam mil ke likhe the mita ke aai hun charagh hai ki mere dil mein yaad ka suraj jise dariche mein shab ke saja ke aai hun hazar kaliyan gulabon ki mustarad kar ke main apne jode mein patte laga ke aai hun mujhe talash karo gard-e-ashiqi mein jahan main apne pyar ka sahra chhupa ke aai hun udhar na jaana kabhi ladkiyon se kahti hun main rah-e-ishq mein tan-man ganwa ke aai hun