khayal lams ka kar-e-sawab jaisa tha asar sada ka bhi mauj-e-sharab jaisa tha waraq nuche hue sab lafz o mani gum-sum the ye baat sach hai wo chehra kitab jaisa tha tamam raat wo pahlu ko garm karta raha kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha udas zarron ke ham-rah koi phirta raha khamoshiyon ka bayaban sarab jaisa tha ek umr khoi to ye raaz mujh pe fash hua khayal-e-mahr-o-wafa naqsh-e-ab jaisa tha