KHayal-o-fikr ka sadqa utarte rahiye

khayal-o-fikr ka sadqa utarte rahiye
lahu pila ke ghazal ko sanwarte rahiye

ghurur-e-fath mein dushman zarur dubega
hai jitna to abhi jang haarte rahiye

nigah-o-dil se ye kahti hai aaine ki kashish
kahin na dekhiye hum ko nihaarte rahiye

gham-o-alam ki tarah dukh bhare dinon jaisa
kisi bahane hamein bhi guzarte rahiye

purani chot ki yaadon ko le ke aankhon mein
jabin pe aur lakiren ubhaarte rahiye

akele-pan se lage dar to lazmi hai 'fahim'
andheri raat mein khud ko pukarte rahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close