khayal-o-khwab ki duniya se hum guzar bhi gae jahan thaharna tha hum ko wahan thahar bhi gae hamare sath rahe zindagi ke hangame jahan jahan se bhi guzre jidhar jidhar bhi gae tere khayal ka dariya utar na paya magar tere khayal ke dariya mein hum utar bhi gae zamana lakh hamari mukhalifat mein raha jo kaam karna tha hum ko wo kaam kar bhi gae mohabbaton mein bhi lazim hai e'tidal ka rang khulus had se badha jab to log dar bhi gae tumhaara nam isi waste to zinda hai tumhaare nam pe marna tha jin ko mar bhi gae gham-e-ziyan ke siwa kuchh nahin hai manzil par safar ka lutf gaya aur ham-safar bhi gae hum aise log munawwar kahan se aaenge jo pastiyon mein rahe aur faraaz par bhi gae