khayal-o-khwab mein dubi diwar-o-dar banati hain kunwari ladkiyan aksar hawa mein ghar banati hain kabhi ghamza kabhi ishwa kabhi shokhi kabhi masti adaen bankpan mein sandali paikar banati hain hisen aanchal mein pinhan kahkashaen raat hone par ghani zulfon pe raqsan dilruba manzar banati hain jhuki palkon pe thahre aansuon par ho guman aisa ki jaise sipiyan aaghosh mein gauhar banati hain mohabbat ka karishma hai ki ulfat ki karamat hai hasinaen takhayyul mein mah-o-akhtar banati hain lagegi par kaise kashti-e-dil soch lo 'zakir' talatum-khez nazren roz jab saghar banati hain