khayal o shauq ko jab hum teri taswir karte hain to dil ko aaina aur aankh ko tanwir karte hain nazar ke samne jitna ilaqa hai wo dil ka hai to us ki be-dili ke nam ye jagir karte hain hawa mismar bhi kar de agar shahr-e-tamanna ko phir us malbe se qasr-e-arzu tamir karte hain hawaen padh ke apne nam ke khat jhum jati hain mohabbat se jo patton par shajar tahrir karte hain hamare lafz aainda zamanon se ibarat hain padha jaega kal jo aaj wo tahrir karte hain