khidki mein ek nar jo mahw-e-khayal hai shayad kisi ke pyar ko pane ki chaal hai kamre ki chiz chiz pe hai hasraton ki gard aangan mein ujli dhup ka phaila jamal hai alfaz ke guhar teri khatir piro liye ye bhi to tere husn-e-talab ka kamal hai izhaar-e-ishq karta hai ab rah chalte bhi is ahd ka jawan bada raushan-khayal hai barson ke yar kab ke juda ho gae 'said' is shahar mein zarur murawwat ka kal hai