khinch kar is mah-ru ko aaj yan lai hai raat ye khuda ne muddaton mein hum ko dikhlai hai raat chandni hai raat hai khalwat hai sehn-e-bagh hai jam bhar saqi ki ye qismat se hath aai hai raat be-hijab aur be-takalluf ho ke milne ke liye wo to thahraate the din par hum ne thahrai hai raat jab main kahta hun kisi shab ko to kafir yan bhi aa hans ke kahta hai miyan han wo bhi banwai hai raat kya maza ho hath mein zulfen hon aur yun puchhiye ai meri jaan sach kaho to kitni ab aai hai raat jab nashe ki lahr mein baal us pari ke khul gae subh tak phir to chaman mein kya hi lahrai hai raat daur mein husn-e-bayan ke hum ne dekha bar-ha rukh se ghabraya hai din zulfon se ghabrai hai raat hai shab-e-wasl aaj to dil bhar ke sowega 'nazir' us ne ye kitne dinon mein aish ki pai hai raat