khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe

khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe
jahan pani na mile aaj wahan mar mujhe

dhup zalim hi sahi jism tawana hai abhi
yaad aaega kabhi saya-e-ashjar mujhe

sal-ha-sal se khamosh the gahre pani
ab nazar aae hain aawaz ke aasar mujhe

bagh ki qabr pe rote hue dekha tha jise
nazar aaya wahi saya sar-e-diwar mujhe

gir ke sad para hua abr mein atka hua chand
sar pe chadar si nazar aai shab-e-tar mujhe

sans mein tha kisi jalte hue jangal ka dhuan
sair-e-gulzar dikhate rahe bekar mujhe

raat ke dasht mein tuti thi hawa ki zanjir
subh mahsus hui ret ki jhankar mujhe

wahi jama ki mere tan pe na thik aata tha
wahi inam mila aaqibat-e-kar mujhe

jab se dekha hai 'zafar' khwab-e-shabistan-e-khayal
bistar-e-khak pe sona hua dushwar mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close