KHirad ki dhund mein aks-e-ruKH-e-sahar to mila

khirad ki dhund mein aks-e-rukh-e-sahar to mila
junun-e-shauq tujhe koi ham-safar to mila

jala gaya hai koi ret par lahu se charagh
rah-e-junun mein koi naqsh-e-motabar to mila

tumhaare shahr mein sota hun panw phaila kar
koi makan na mila saya-e-shajar to mila

kisi se dil kahan milta hai is zamane mein
khulus lakh tasanno sahi nazar to mila

gham-e-hayat ke gesu sanwar hi jaenge
nigar-e-sham ko aaina-e-sahar to mila

hunar kharid ke laenge be-hunar kitne
hamare shahr ko ek sahab-e-hunar to mila

utar laya bulandi se us ko ai 'hami'
wo aasman ka tara zamin par to mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close