khizan bulae magar roke hain bahaar mujhe main thahri rut hun kabhi aa ke tu guzar mujhe main aks thi to teri dastaras se bahar thi hui hun rup to hasil hun ab nikhaar mujhe main dhal chuki hun kisi sanche mein bahut pahle na aur banne ki kuchh chaak se utar mujhe na jaane kitne nae rang mujh mein ugte hain wo ek lams bana deta hai bahaar mujhe main hijraton ke kai dasht par kar aai ai mujh se bichhdi zamin ab to tu pukar mujhe