khizan ka khauf bhi hai mausam-e-bahaar bhi hai kabhi tumhaara kabhi apna intizar bhi hai simatti jati hun badhti hain duriyan jab bhi ajib shakhs hai nafrat bhi us se pyar bhi hai hua hai zakhmi mera e'timad jis din se udas hi nahin dil mera be-qarar bhi hai alag hai sab se tabiat hi us ki aisi hai wo be-wafa hai magar us pe e'tibar bhi hai bahaaren jati hain jaane do tum to ruk jao bahut dinon se tabiat mein intishaar bhi hai khadi hun aaj bhi main sang-e-mil ki surat 'kiran' kisi ka zamane se intizar bhi hai