khizan ke hosh kisi roz main udata hua tumhein dikhunga yaqinan bahaar lata hua tamam war meri ruh par the lekin main tamam umr phira jism ko bachata hua khushi se karna rawana mere makan mujh ko main haar jaun agar wahshaten haraata hua bahut udas akela hamesha lauta kyun falak pe jo bhi dikha mujh ko jagmagata hua mujhe bulane makan aa na jae sahra tak main ghar se aaya to hun naqsh-e-pa mitata hua tumhaari yaad hai bikhri padi kai din se laraz raha hun main apne hi ghar mein aata hua hai ek gharib ke bachche si zindagi apni khushi ka parb bhi guzre jise rulata hua ye tere lams ka jadu hai ya wafa meri badan se aa gaya bahar gale lagata hua