KHizan ki chah mein khilte chaman ko chhoD diya

khizan ki chah mein khilte chaman ko chhod diya
talash-e-rizq mein nikalne watan ko chhod diya

chale the ghar se asase mein hijraten le kar
tamam umr ki dil mein chubhan ko chhod diya

laga kuchh aisa jo bichhde hum apne pyaron se
ki jaise ruh ne apne badan ko chhod diya

unhi ke dam se sanwarte the sab hunar mere
jo wo nahin hain to har ek fan ko chhod diya

wo jis ke wasl mein naghme likhe kabhi hum ne
usi ke hijr mein hum ne sukhan ko chhod diya

ab us ki yaad mein raaton ka chain khote hain
'qamar' ye kis se kahen kyon watan ko chhod diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close