KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile

khizan mili abhi tak kahin bahaar mile
safar mein pyar ka mausam to ba-waqar mile

main aise dar ka gada hun jahan pe moti kya
hazar bar mujhe sang aab-dar mile

khushi ka nur to ik-bargi mila hai tumhein
hamein to gham ke andhere bhi qist-war mile

teri chamak ka taqaza nahin zarurat hai
tere khamir mein thoda sa inkisar mile

ye aarzu hai ki ab raushni ke qisse hain
mere charagh ko suraj ka eatibar mile

main khush-nasib bahut hun ki mujh ko duniya mein
qadam qadam pe mohabbat ke shahkar mile

main aasmanon zaminon ki had mila dunga
jo chaar-roz ka sach-much mein ikhtiyar mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close