kho dene ka dil bharne ka thak jaane ka KHauf

kho dene ka dil bharne ka thak jaane ka khauf
ek tere hone se chakkha kaisa kaisa khauf

tum the lekin do hisson mein bate hue the tum
aankh khuli to bistar ki har silwat mein tha khauf

hum donon ke samne bahta waqt aaina tha
mujh ko us ne khwab dikhae tujhe dikhaya khauf

is raste par mujh se pahle koi nahin aaya
ek anokhi sarshaari hai ek an-jaana khauf

isi liye main sambhal sambhal kar qadam uthati hun
itni bulandi se rahta hai gir jaane ka khauf

in logon ko kya lagta hai dar jaungi main
ye khud mujh se dare hue hain in se kaisa khauf

waqt ki aandhi le udti hai kaise kaise log
soch ke dil ko khauf aata hai achchha-khasa khauf

ab khidki par jami hui har aankh se jhankta hai
is barish mein aakhiri patta jhad jaane ka khauf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close