kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich jalwa-gar tha warna wo khurshid tere man ke bich para-e-bekar hain wahdat mein jab tak hai dui rah-e-yaktai hai rishta ke tain sozan ke bich saf kar dil taki ho aaina-e-rukhsar-e-yar mana-e-raushan-dili hai zang is aahan ke bich zahir o pinhan hai har zarra mein wo khurshid-ru aashkar o mukhtafi hai jaan jaise tan ke bich dur ho gar shamma se tere ghaflat ka zukaam tu usi ki bu ko pawe har gul-o-sausan ke bich kucha-gardi ta-kuja jun kah-e-baad-e-hirs se gad kar pa baith misl-e-koh tu maskan ke bich kyun abas bhatka phire hai jun zulekha shahr shahr jalwa-e-yusuf hai ghafil tere pairahan ke bich kab dimagh apna ki kije ja ke gul-gasht-e-chaman aur hi gulzar apne dil ke hai gulshan ke bich mat mujhe taklif-e-sair-e-bagh de 'bedar' tu gul se rangin-tar hai yan lakht-e-jigar daman ke bich