kho jaun musht-e-khak mein aisa nahin hun main dariya hun apni zat mein qatra nahin hun main guzrunga jis jagah se nishan chhod jaunga aandhi hun apne waqt ki jhonka nahin hun main manzil se ye kaho ki kare mera intizar thahra hua zarur hun bhatka nahin hun main puchhi hai khat mein aap ne jo khairiyat meri kaise likhun janab ki achchha nahin hun main khushbu tere badan ki mere sath sath hai kah de koi hawaon se tanha nahin hun main husn-o-shabab saghar-o-mina the samne lekin kisi bhi shab kahin thahra nahin hun main de kar khilaune mujh ko jo bahla rahe hain log 'ejaz' un se kah do ki bachcha nahin hun main