khoe gae to aaine ko mo'atabar kiya hum ne teri talash mein apna safar kiya be-ghar musafiron ke muqaddar mein khak hai so hum ne gard-e-rah ko diwar-o-dar kiya us markaz-e-jamal ke hum bhi asir hain jis markaz-e-jamal ne har dil mein ghar kiya shahr-e-wafa khamosh hai patthar bane baghair kaisa fareb-e-koh-e-nida ne asar kiya bazu samette hain darakhton pe kuchh tuyur shayad kisi ne tazkira-e-baal-o-par kiya yaadon ki bhid mein bhi hai tanhai ham-safar us ki ho khair jis ne hamein dar-ba-dar kiya