khoe hue sahra tak ai baad-e-saba jaana wo khak-e-junun meri aaankhon se laga jaana ab tak koi chingari rah rah ke chamakti hai ai qafila-e-farda ye rakh uda jaana hai dasht-e-tamanna mein ab sham ka sannata han tez qadam rakhte ai ahl-e-wafa jaana hum nind ki chadar mein lipte hue chalte hain is bhes mein ab hum se milna ho to aa jaana aafaq ki sarhad par sae se gurezan hain in sokhta-jaanon ko us par na tha jaana tum dur safar kar ke nazdik se lagte ho ab pas bahut aa ke hum ko na jaga jaana kya us se shikayat ho jis shokh ki aadat ho kuchh baat daba lena kuchh aankh chura jaana hum zikr-e-gul-o-bulbul karte hue darte hain ab sikh gaya hai wo har baat ka pa jaana