khu samajh mein nahin aati tere diwanon ki damanon ki na khabar hai na girebanon ki jalwa-e-saghar-o-mina hai jo ham-rang-e-bahaar raunaqen turfa taraqqi pe hain mai-khanon ki har taraf be-khudi o be-khabari ki hai numud qabil-e-did hai duniya tere hairanon ki sahl is se to yahi hai ki sambhaalen dil ko minnaten kaun kare aap ke darbanon ki aankh wale teri surat pe mite jate hain sham-e-mahfil ki taraf bhid hai parwanon ki ai jafakar tere ahd se pahle to na thi kasrat is darja mohabbat ke pashimanon ki raaz-e-gham se hamein aagah kiya khub kiya kuchh nihayat hi nahin aap ke ehsanon ki dushman-e-ahl-e-murawwat hai wo begana-e-uns shakl pariyon ki hai khu bhi nahin insanon ki hamrah-e-ghair mubarak unhen gul-gasht-e-chaman sair hum ko bhi mayassar hai bayabanon ki ek bakheda hai nazar mein sar-o-saman-e-wajud ab ye haalat hai tere sokhta-samanon ki faiz-e-saqi ki ajab dhum hai mai-khanon mein har taraf mai ki talab mang hai paimanon ki aashiqon hi ka jigar hai ki hain khursand-e-jafa kafiron ki hai ye himmat na musalmanon ki yaad phir taza hui haal se tere 'hasrat' qais o farhad ke guzre hue afsanon ki