khub hai shauq ka ye pahlu bhi main bhi barbaad ho gaya tu bhi husn-e-maghmum tamkanat mein teri farq aaya na yak-sar-e-mu bhi ye na socha tha zer-e-saya-e-zulf ki bichhad jaegi ye khush-bu bhi husn kahta tha chhedne wale chhedna hi to bas nahin chhu bhi hae wo us ka mauj-khez badan main to pyasa raha lab-e-ju bhi yaad aate hain moajize apne aur us ke badan ka jadu bhi yasmin us ki khas mahram-e-raaz yaad aaya karegi ab tu bhi yaad se us ki hai mera parhez ai saba ab na aaiyo tu bhi hain yahi 'jaun-elia' jo kabhi sakht maghrur bhi the bad-khu bhi