KHub honi hai ab is shahr mein ruswai meri

khub honi hai ab is shahr mein ruswai meri
beach bazar ubhar aai hai tanhai meri

ek bar us ne bulaya tha to masruf tha main
jite-ji phir kabhi bari hi nahin aai meri

apni tamir ke malbe se pata jata hun
aur payab hui jati hai tanhai meri

khana-e-wasl aza-khana-e-hasti ki jahan
gunjti rahti hai bas dard ki shahnai meri

dasht-e-khamoshi mein chalti hai bahut tez hawa
dur tak udti hui gard hai goyai meri

zindagi sal chha-mahi tu mila kar aa kar
ghairiyat itni bhala kis liye man-jai meri

munjamid ho gaya sara mutharrik mera
mere pani pe jami baithi hai ab kai meri

'farhat-ehsas' taghazzul se sharabor hua
raat aaghosh mein kuchh yun ye ghazal aai meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close