khud apna aks hun ki kisi ki sada hun main yun shahr ta-ba-shahr jo bikhra hua hun main main dhundne chala hun jo khud apne-ap ko tohmat ye mujh pe hai ki bahut khud-numa hun main mujh se na puchh nam mera ruh-e-kaenat ab aur kuchh nahin hun tera aaina hun main jab nind aa gai ho sada-e-jaras ko bhi meri khata yahi hai ki kyun jagta hun main laun kahan se dhundh ke main apna ham-nawa khud apne har khayal se takra chuka hun main ai umr-e-rafta main tujhe pahchanta nahin ab mujh ko bhul ja ki bahut bewafa hun main