khud apni mahfil mein tha paraya ki ek main hi tha bin-bulaya wo jis ki khatir main ji raha tha wo pal bhi aakhir guzar aaya ajab tha ye ishtirak-e-baham main ek wahshat wo ek saya nigarish-e-jaan tere liye main hazar marg-o-hayat laya badan se ab ho raha hun rukhsat ada nahin kar saka kiraya sarab nikla tera taaqub main zindagi ko ganwa hi aaya