khud-faramoshi mein khayal kahan main kahan hasrat-e-jamal kahan na wo aansu hain aur na wo aahen ab wo agla sa apna haal kahan dil-e-wahshi ne sar uthaya hai dur-andeshi-e-maal kahan gham-e-duniya mein sar hai sargardan ab wo nairangi-e-khayal kahan ahd-e-rafta ko bhulna achchha wo zamana wo mah-o-sal kahan ho shikayat kisi se na-mumkin ye jasarat kahan majal kahan kis tarah dastan-e-gham kahe koi pursan-e-arz-e-haal kahan