khud hi apni lash uthaen kab tak aakhir aakhir kab tak aur lab pe shikwa na laen kab tak aakhir aakhir kab tak apni dafli alag bajaen aur kisi ki sun na paen phir bhi kahen sab sath nibahen kab tak aakhir aakhir kab tak is ki uljhan us ki uljhan ghar mein uljhan bahar uljhan sari uljhan hum suljhaen kab tak aakhir aakhir kab tak duniya-dari ek bimari sach sach kahna aur khush rahna man rakhen saman ganwaen kab tak aakhir aakhir kab tak usi ne ki ilzam-tarashi aur duniya ne di shabashi mere sar hi sari balaen kab tak aakhir aakhir kab tak baad-e-bahaaran gulshan gulshan suna pada hai apna aangan bar-e-khizan ek hum hi uthaen kab tak aakhir aakhir kab tak yaad tumhaari aae sajan wyakul kar de sara tan-man ek pal tum ko bhul na paen kab tak aakhir aakhir kab tak bipta aisi aan pari hai sankat mein ye jaan padi hai ek meri jaan sari balaen kab tak aakhir aakhir kab tak aisa bhi kiya ho sakta hai aap ne kaise soch liya ye aap bulaen 'josh' na aaen kab tak aakhir aakhir kab tak