KHud ko na main giraun KHud apni nigah se

khud ko na main giraun khud apni nigah se
yarab bachae rakhna mujhe is gunah se

harf-e-talab zaban pe laya ghazab kiya
ek dost aaj aur gaya rasm-o-rah se

tashbih-e-mehr-o-mah ka ye ehtimam hai
patthar utha ke lae hain hum un ki rah se

chhoda jo us ne zist bhi ye kah ke uth gai
main ne bhi aaj hath uthaya nibah se

samjhe na koi baat to ye aur baat hai
kuchh to nigah kahti thi paiham nigah se

shayad nahin ye baat mere qatilon ko yaad
qismat nikal lati hai yusuf ko chah se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close