KHud-nigar the aur mahw-e-did-e-husn-e-yar the

khud-nigar the aur mahw-e-did-e-husn-e-yar the
hum ki apne ru-ba-ru shisha ki ek diwar the

phir nigahon ne bune the chaar su khwabon ke jal
su-ba-su phir rishta-gar wahm-o-guman ke tar the

mukhtasar sa hai hamara qissa-e-shauq-e-safar
abr-e-awara the hum lekin sar-e-kohsar the

khanda-rez o girya-gin thi zakhm-e-khatir ki numud
dur duniya ke tayyun se mere aazar the

main sawad-e-dasht-e-tanhai ka phalta ped tha
sabz zahr-e-be-kasi se mere barg-o-bar the

bujh gaya tha dil hamara baad-e-sharh-e-arzu
ji ki hum kahne gae to kushta-e-izhaar the

raegan thi apni aab-o-tab bhi kya kya 'razi'
hum ki ek be-marka aur be-adu talwar the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close